Filhaal Zindagi
सवाल पूछते रहिए,
जवाब मिले न मिले !
पौध तो लगाते रहिए,
ग़ुलाब खिले न खिले ! https://pothi.com/pothi/node/197859
16/10/2024
Dil mein badi gehri udaasi hai
Raat mere khoon ki pyaasi hai
Aankhein band par dimaag jaagta rehta hai
Anchahe khyalon ke peeche baagta rehta hai
Mann mein baichaini, badan mein dukhan !
Kuch rahat dete hain bus apne hi likhe sukhan!
Ya rab, khair khabar le hamari..
Jaane kaisi hui hai bimari…
Koi dawa mil jaaye, koi dua lag jaaye !
Koi humdardi jataaye…thoda to aaram aaye!
Want your public figure to be the top-listed Public Figure in Bangalore?
Click here to claim your Sponsored Listing.
Click here to claim your Sponsored Listing.
Category
Contact the public figure
Address
Bangalore