Nits

Nits

Share

Admin : Nits
πŸ³β€πŸŒˆ Gay Love Story Writer ✍🏻
Lucknow, Uttar Pradesh, India. Read my Gay Love Stories on page, Facebook Group and Blog.

18/01/2026

🏹 Maha - Nav Bharat🏹

Chapter 31

Doctor Nagarjun ko treat kar K bahar aate hai. Sab ummeed K saath unki taraf bhate hai.
Satyavati : Doctor mera beta theek to hai na?
Doctor : Dekhiye Nagarjun ko bahut chote aayin hai uska khoon bahut beh Chuka hai. Humne uski dressing to kar di Firhaal hse abhi tak hosh nahi aaya hai.
Shyaam : par Doctor use kab hosh aa jayega?
Doctor : Kuch keh nahi sakte... Kyuki uske chot K nishaan bahht ghehre jaise kisi K uske saath janwaro jaisa sulookh kiya ho. Use nocha ho nakota ho mara ho.
Shyaam gusse me apni mutthi bandh leta hai usko nase Fool aayin thi.
Doctor : In sabka ghera asar uske dimaag pe bhi hua hai... Jaise wo sadme me ho. Hume darr hai K wo kahin coma me na chala jaaye... Bas dua kijiye K 48 ghanto kee andar andar use hosh aa jaaye.

Satyavati ka ro ro K bura haal ho raha tha.
Bhishm : Aap jo bhi kariye chahe to Delhi se Doctor ki team bulaye jitna paisa kharch hota hai hone dijiye bas Nagarjun ko bacha lijiye.
Doctor : Hum apni puri koshish karenge.

Kunti : Aap is ladke K liye itna kyu kar rahe hai jisne humari aulaad ko behla fusla K barbaad kar diya.
Bharat : Kunti Beti... Mat bhoolo aaj wo ladka jis haalat me hai us haalat me tumhara beta humara Shyaam bhi ho sakta tha. Us ladke ne uski musibat ane sar li hai kyuki agar Shyaam Maha Nayak ban jata to ye sab uske saath hota. Or Hume kabhi pata bhi nahi chalata K hunare dushman hai. Aaj tumhara beta jinda khada to usi ladke ki badaulat. Kyu Bhishm beta sahi kahan na maine...

Bhishm hulke se haan me sar hilate hai. Ye dekh Shyaam ko bahut accha lagta hai wo apne papa K Paas jata hai or unke gale kas K lag K dahaade maar maar K rone lagta hai
Bhishm K bhi aankhon se aasun jhalak aate hai.
Bhishm : Mujhe maaf kar de beta maine tumhe kabhi nahi samjha... But tumhe khone ka darr aaj mehsoos kar raha hoon agar tumhe Mai Maha Nayak bana deta to khud apne haantho se tumhe maut me muhh me dhakel deta.
Wo ladka jo andar behosh pada hai usne humare ghar K Chirag ki raksha ki hai

Bhishm Kunti ko dekh kar : Kunti... Nagarjun agar Shyaam K jeevan me na aata to ye sab humare saath ho raha hota. Satyavati Ji ki jagah tum hoti. Niyati K khel yehi hai jo hota hai acche K liye hota hai. Shyaam or Nagarjun ka milna bhi Niyati ka faisla hai. Or unhe alag na kar pana bhi pehle se likha hai. Humne unhe alag kar K bahut badi galati ki hai. Shyaam tabhi suraksh*t hai jab Nagarjun uske saath hai.

Kunti bhi shabd heen ho gayi thi.
Bhishm Shyaam se : Shyaam beta mai eilaan karta hoon K mujhe nahi banana tumko Maha Nayak, nahi rakhna satta ka moh, Jan ki seva bina Maha Nayak bane bhi ki jaa sakti hai. Mujhe tumhara jeevan or khushi sabse jyada pyari hai. Isliye tum Aaj Mai tum dono K rishte ko manjoori deta hoon...

Shyaam Bhishm K badalte mann ko dekh bhavuk ho gaye tha. Parth K chehre pe bhi HAL kisee si muskaan aa gayi thi. Lekin Satyavati abhi bhi Naraj si lag rahi thi. Lekin Nagarjun K liye hosh me aana unke liye sabse jyada jaruri tha.

Ye sab Hansh Raj ko ek drama jaisa lag raha tha.
Hansh mann me : ye log us ladke K hosh me aane ki dua kar rahe hai.. Lekin inhe kya pata ab wo ladka kabhi suraj nahi de payega.

Wo Sudhhodhan or Karan ko halke se bahar aane ka ishara karta hai.
Sudhhodhan : Kya hua dad? Hume kya karna hai?
Hansh : Nagarjun ko usi ICU room me marna hoga... Mauka dekh K hum me se kisi ko us room me ja kar.
Sab ko lagega ye ek ittefaaq hai.
Karan : Lekin Uncle Shyaam K baap ne Hospital K saath saath Room K bahar bhi security laga rakhi hai uska kya?
Hansh : Iska ilaaj bhi Mai dhoond lunga... 48 ghante hai humare hai..
Sudhhodhan : Par dad agar wo hosh me aaya hi nahi to... Uske Coma me jaane se bhi humara hi fayeda hai
Hansh gusse me : Kya karu Mai is nikammi aulaad ka... Bewakoof hum Risk nahi le sakte.. Use jaan se marna hi sahi rahega. Uske marte hi Shyaam bebas ho jayega or Bhishm Sahani bhi ek massoom ladke ka maut ka bojh seh nahi payega... Pure Khandan pe pura kurukshetr thu thu karega... Or mera badla pura ho jayega...

Kaafi ghante beet chuke lekin Nagarjun ko hosh nahi aaya tha.
Parth : Shyaam Ji aap thak gaye honge jaaiye ghar jaaiiye or thoda araam kar lijiye... Mai to yaha hoon hi.
Shyaam : Nahi mai apne Nagarjun ko chhod K kahin nahi jaunga. Tum ek kaam karo.. Satyavati Aunty ko ghar le jaao or unke saath raho... Nagarjun nahi hai to unki fikar karne wala unka dusra beta to hai.
Satyavati Shyaam ki baat sun rahi thi.
Parth Satyavati se : Aunty ghar chaliye... Aap thak gayin hongi... Nagarjun ko hosh aate hi mai aap ko wapas le aunga.
Satyavati Parth K baar baar force karne par uski baat maan leti hai or uske saath Shyaam ki car me baith ghar chali jaati hai .

Idhar Bhishm, Bharat or Kunti bhi ghar chale jaate hai... Hospital me bachta hai to Shyaam or Nagarjun ki security...

Der raat ho chuki thi... Logo ka aana jana bhi band ho gaya tha. Sannaata pasra hua tha... Lights dim thi... Shyaam bench pe baitha hi pal ke jhapka raha tha. Baaki security bhi so gayin thi. Tabhi ek wardboy aata hai jiske face pe mask tha. Wo Nagarjun K room me jana chahta hai tabhi ek Aahat hoti hai or Shyaam uth jata hai.

Shyaam : Kon ho tum?
Wo Wardboy bina palte : Mujhe Doctor ne bheja hai patient ko injection dena hai.
Shyaam : Oh okai... Aap jaa sakte hai.
Wardboy andar chala jata hai. Andar jaa kar wo mask utarta hai wo aur koi nahi balki Karan tha.
Karan shaitani hasi hasta hai...
Karan : Mai tujhe tab nahi maar paya lekin ab tujhe marne se koi nahi rok sakta... Bas ek dukh rahega teri kamsin jawani ka ras mai chakh nahi paya...

Wo use gandi tarah se touch kar raha tha.
Karan : Agar mere paas samay kam na hota to mai abhi behoshi ki halat tere r**e kar K apni hawas ki pyaas bujha deta. Hahahah

Ab wo Nagarjun ki Oxygen Pipe ko nikal deta hai jisse Nagarjun ko saans aana band ho jaati hai or uski body react karna shuru kar deti hai.
Apna kaam kar K wo mask laga K bahar nikal jata hai. Shyaam ko bhanak tak nahi lagti K andar kya hua hai.
Andar Nagarjun ki tadpan shuru ho gayi thi. Tabhi ek Nurse waha aa jaati hai... Wo dekhti hai Nagarjun ki body teji se hil rahi thi.
Wo chilla K Doctor ko bulati hai .. Uske saath Shyaam or security guard bhi andar aa jate hai.
Shyaam ghabarahata hua : Kya hua Doctor...? Ye aise kyu hil raha hai?
Doctor : Pata nahi kaise iski Oxygen Pipe nikal gayi mano kisi ne nikali ho.
Nurse : But Mai jab aayi tab to room me koi nahi tha.
Shyaam ko yaad aata hai ek ward boy andar aaya tha... Use yakeen tha K wo Nagarjun ko marne hi aaya tha wo daud K use pakdne bhagta hai. Wo use door se seediyon se utare hua dekh leta hai.
Shyaam chilla K : Oye Ruk...
Karan palta hai or dekhta hai Shyaam use pakdne aa raha hai to wo bhagne lagta hai.
Shyaam puri furti K saath uska pichha kar raha tha. Or Karan apni jaan or pehchan bacha kar bhaag raha tha.

Tabhi ek bandook ki goli chalti hai jo sidhe jaa kar Karan K aar paar lagti hai or woh wahi dher ho jata hai.. Shyaam sochate hai K Goli kisne chalai. Wo daud K Ward boy K Paas jata hai or mask hata K dekhta hai wo Karan tha jiski saanse ab band ho chuki thi kyuki wp marr chuka tha.

Bhishm or Bharat Commissioner K saath turant City Hospital pahuchte hai.
Bharat : Mujhe yakeen nahi ho raha K Karan ye sab kar raha tha... Lekin wo Nagarjun ko kyu marna chahega.
Shyaam : College me ye Nagarjun ko bahut bully karta tha panchgani me bhi isne Nagarjun ko bahut pareshaan kiya tha. to ho sakta tha iski gandi najar tabhi se Nagarjun pe ho. Usse nafarat karta ho.
Bhishm : Mujhe nahi lagta... Kyuki ise goli lagi hai... Shayad ye ek mohra ho asli katil koi aur hi hai.
Commissioner : Mujhe bhi aisa hi lagta hai Sahani sahab.. Kyuki wo Driver ki bhi laash Hume mili hai jo Nagarjun K kiddnaper ka parda fash kar sakta tha... Ho sakta hai K us driver ko Karan ne hi mara ho...
Bhishm : Lekin agar use Karan ne mara hai to Karan pe kisne goli chalayi.

Bharat shant the... Unka dimaag kahin aur hi jaa raha tha kyuki wo kadi se kadi mila kar soch rahe the K Karan Suddhodan ka best Friend tha or Suddhodan Hansh Raj ka beta or Hansh Raj wahi shaksh hai jo Apne apne bete ko Maha Nayak banana chahata tha lekin Nagarjun K Maha Nayak banne se uska sapna pura na ho saka. Bharat Vanshi me mann me bahut si baate saaf ho rahi thi.
Bharat mann me : Kahin in sab kee pichhe mere bete Hansh Raj ka to haanth nahi...
Mujhe usse baat karni hogi.

Vanshi House me...

Suddhodan bhate huye aata hai...
Suddhodan : Dad Karan ko kisi me goli maar di..
Hansh : Kisi ne nahi murakh maine hi apne adamiyon se uspe goli Chalwayi hai.
Suddhodan schoked hokar : But kyu dad... Wo to mera dost tha.
Hansh : Hahahaha... Raajaneeti me na koi kisi ka dost hota hai na dushman... Agar Mai Karan ko na marwata to uski wajah se hum pakde jaatee... Kyuki sabko aaj nahi to kal pata lag hi jata K usne hi Nagarjun ka kidnap kiya hai. Maine soch samjh K ye saajish rachi hai. Har jagah use aage rakha taaki koi gadbad bhi ho to naam uspe aaye hum pe nahi. Aur us bewakoof ko to mar hi jana chahiye uski wajah se Nagarjun bhaag gaya or wo aaj bhi jinda hai.

Tabhi ek awaaj aati hai : Lekin tum nahi bachoge...
Hansh or Suddhodan Mud K dekhte hai samne Bharat Vanshi chattan jaise khade the.

To be continued...

Writer - Nits Lucknow

Want your public figure to be the top-listed Public Figure in Lucknow?
Click here to claim your Sponsored Listing.

Category

Address

Lucknow